Saturday, 24 September 2011

BACHAPAN

Mera bachpan fir aa jaye,
khet khalihan gali ki masti yaad aaye.
Jag se bekhbar din men sapna dekhun,
uchlun bin aawaj ke.
Mera bachpan kab swapn sanjila,
ban gaya bin raat ke.
Maa!!!
Mere bachpan ko pankh pahna do,
aaj ko utar ke.

No comments:

Post a Comment